Kuch ehsas mile
Kuch jazbaat mile
Sukun mein aaj hume yeh
Ek Mudat k baad mile
Kuch khamoshi bhare
Kuch junoon k halat mile
Sukun mein aaj hume yeh
Ek Mudat k baad mile
Ek javab tha hathon mein hamare
Kai usko leke sawal they
Kuch shaksh they apne se
Aur kuch apno k bas khayal they
Khoe hue kuch dost
Jaise besabar yaad aane ko
Yaadein kuch machal rahi thi
Yunhi hame tadpane ko
Bachpan ki shaitiniyon mein
Jawani k khayalat mile
Sukun mein aaj hume yeh
Ek Mudat k baad mile
Kuch patto k mehel
Jo yunhi bane aur bikhar gaye
Kuch bigde aaj phir hum
Aur kuch khud hi sudhar gaye
Mile jab purani tasveero se
Firne lage fir aazad se
Le baithe they nasihat unse
Jo khud they kuch barbaad se
khud ko sawarte hue aaj
Hum thode se barbaad mile
Sukun mein aaj hume yeh
Ek Mudat k baad mile
Kya pata kya hua
Bhavar mein kinare k swaad mile
Sukun mein aaj Hume yeh
Ek mudat k baad mile
0 Comments