Yeh Pyara Watan Humara!
Lakhon shahid veeron ki qurbaani ke baad bana hai yeh pyara Watan hamara
Yeh aazaad zindagi joh hum har roz befikar jeete hain, Jannat shayad isiko kehte hain
Sarfarosh veeron ne aazadi toh dilayi par behkave ka shikaar hoke aawaam chein kho baithi hai
Mazab aur jaati ke ladai me dharti pe hum jahanum bana baithe hai
Deshbhakti ke nazar se dekho toh sab kuch yahin dikhta hain
Chahe hum ise Ram Rajya kahen, Jannat kahen ya eden ka bageecha kahen
Untees rajyon me savaso karod logon ki ek hi penchaan hain – Hindustani!!
Duniya me Maa ke pyaar se badkar kya kuch hai yaron?
Shayad isi wajah se Bharat ko Maa ki pehchaan dee jathi hai
Tiranga jab Hawa ke jhoke se lehrata hai toh Dil aur Jaan me khushi, aakhon me garv ke aasun, chehre pe muskaan aur zubaan pe Bharat mata ki Jai jaikaar hi aathi hai
Duniya me sabse Nyara hai Yeh Pyara Watan Humara
Aayiye aaj hum shapat le ke:
Hum sangarsh karenge aur iss desh ki tarraki me bhaag lenge,
Behkave me na aake, jaankari sahi tareeke se samjhne ka prayas karenge,
Hamari laadli betiyon ki raksha karenge,
Bharateeya Samvidhan ke mutabik apna farz nibhane ka prayas karenge,
Bina koi bhed bhaav ke, apne sab desh vaasiyon ka sammaan karenge
Jai Hind!
Like us on FB, if you find our content interesting: https://www.facebook.com/hatkestoryofficial/
Do you have an interesting incident or experience to share with the world? Write to us, and together we can discuss how to weave your story and present it to the world. Would you mind sending us your story?
0 Comments